Bachon Ki Tarbiyat Kaise Karein In Urdu
Bachon Ki Taleem o Tarbiat Kesay Karain
Ghar k liye bhi wesa hi aik dastoor aur qanoon ho jaise kisi rayasat ya mulk k lye hota hai, Doctor. Abdul Al Karim Bakar Sahab shami shehri hain aur society mai zat aur ejtimai taluq/ tarbiyat aur islami ahya pr researcher hain dunia bhar main apne munfarid makalat ki bina pr jany pehchane jaty hain, Is muzo pr 40 say ziadah kitabo k mualif (Writer) hain, Saudia Arabia ki har university mai parha chuky hain, Kae TV channels per apne ikhteyar karda shaube k bani aur senkaro risalo aur akhbarat ki jan hain, Aap kehty hain,
Bachon Ki Tarbiyat
Walden harghiz is bat ki intezar main na rahe k tarbiyat gah he apne faraiz pury kare in ki aulad ko acha shehri banay, Inhe khud is zemidari ko pora karna ho ga k infradi tor per apne bacho ko mashray ka zimedar fard banay, Kia he acha ho k walden ghron main he kuch aise halke phulke kanon bana de jin par amal kar k bacho k kirdar mai phuk tagi aae aur in mai ahsas zimedari peda ho, Sath hi unhon ne kuch lah e amal tayar kiye hai, Walden ko in main se jo munasib lage woh ikhteyar karle ya in main taramem ya izafa karlain,
Bachon Ki Achi Tarbiyat in Urdu
Ghar ka har fard namaz ko us k waqt par ada kare ga, Bara e meherbani aur shukriya k kalmat bunyadi zawabid ho ge jin say koi bhi bari nahi ho ga, Koi mar petay koi gali galoch ya koi bhi lant tan wale aise bat nahi ho ge jis se bad_zoki ka ehsas ho, Jo hum se milne aaye wo hamari qawanin ka ehtram kare ga, Apne mehsoosat aur khayalat ka adab o ehtram aur wazahat k sath batain ge, jo koi bhi jis chez ko khole ga ( darwaza khirki daba ) khole ga ause bandh bhi kare ga kuch gir jae to use uthaye ga aur Jagah ko saf kare ga aur jahan se jo chez uthay waheen rakhay ga, Jo koi baat kare ga ause toke bagair suni jayenge aur baat ko darmiyan say koi nahi kate ga, Ghar me dakhil aur kharij hoty waqt salam karna ho ga, Ghar ka har fard rozana quran pak ki jitni ho sake tilawat kary ga, Ghr ka koi bhi fard kamro mein jakar kuch nahi khaye ga, Rat ko 11:30 ke bad koi bhi nahi jage ga, Smart phone aur devices istemal karne ka time table rakhe, Walden k lye ehteraman kahra hona aur un k hath chumna shumar ho ga, Family k sath bethe waqt mai kaise kisam ki mawaslati device phone ka istemal mana ho ga, Kahny k waqt mai sub ki shamoliyat zarori ho ge, Rat ko 12:00 ke baad kisi kisam ki taleem sargarmi ki bhi ijazat nahi ho gi, Ghr k sary afrad pr ghr aur ghar mein mojud har shay ki hifazat ki zimmedari hai, Apna kam har koi khud kare ga koi kisi dosre par hukum nahi chalay ga han magar ghr ki sarbrahan apne kam kisi ko keh sakte hain, Khandan aur aus ki ghr ki zaroryat sarbarahan ki zemedari ho gi, Koi bhi kese k kamray ya alehdgi wale jagah per darwaza knock kare ga aur ijazat ki bager dakhil nahi ho ga,
Walden ko chaye k aise ahmyat de q k bacho ki tarbyat aik aisa mushkil kam hai jis ko saal se mahiny se sath din aur din k 24 hours karna hota hai,
EmoticonEmoticon