Sunday, October 9, 2016

History Of Saudi Arabia

Saudi Arabia Name history


saudi arabia,history of saudi arabia,history of saudi arabia in urdu,saudi arabia (country),saudi arabia history,amazing facts about saudi arabia in urdu/hindi - history of saudia,saudi arabia facts,facts about saudi arabia,saudi history,history of saudi arabia kings,interesting history of saudi arabia urdu,history of saudi arabia in urdu/hindi,ahle hadees,ahle hadees ki haqeeqat,wahabi,zakir,ahle hadees akhida,ahle hadees munazra,ahle hadith history

Facts About Saudi Arabia


Arab main 1922 tak Turkey ki hukumat teh jese Saltanat e Usmania aur Khilafat e Usmania ki nam se jana jata hai, Jab kabhi musalmano par zulm aur sitam hota tah to Khilafat e Usmania Hukumat is ka mun tor jawab dete, Bartania (UK) European aur yahudi nasrani ko agar sab se zyada khauf tha to wo Khilafat e Usmania hukumat ka tha, Bartania (UK) European jeso ko maloom tha ki jab tak Khilafat e Usmania hai hum musalmano ka kuch nahi bigar sakte Bartania Europe ne Khilafat e Usmania ko khatam karne ki saazish shuru ki, Bartania (UK) European ne sub say pehlay aik shaks ko khara kiya jo christian tha aise arabi zuban bolta tha ki kisi ko us par shak tak nahi hua aus ne Arab ki logo ko Khilafat e Usmania ki kehlaf yeh keh kar gumrah karne ki nakam koshish ki kai tum Arabi ho aur yeh Turkey ajami gear arabi hai hum ajami ki hukumat ko kaise bardasht kar rahe hain per wahan ki awaam ne us ki aik na suni, Ye shakhs (Lawrence of Arabia) ke naam se mashor hua,

History Of Saudi Arabia Kings


Phr Bartania (UK) Europe ne aik or shakhs ko khara kiya jeska naam Hempher tha, Hempher ki mulaqat Mohammad bin Abdul Wahab Najdi aur Arab ke aik daaku se hue is daaku ka naam Ibn Saud tha, Hempher ne ibn saud ko Arab ka hukmaran banne ka lalach diya,

Ahle Hadees Ki Haqeeqat


Hempher ki Mohammad bin Abdul Wahab Najdi se mulaqat Iraq me hue, Aus ne Mohammad bin Abdul Wahab Najdi se guftagu ke ki sharab haram nahi aur aus ne Quran aur hadees se sabit kar diya sharab haram nahi aur aus ne Abdul Wahab Najdi ko sharab pelay, Phir aus ne ek aur jaal mein phasa ki muta haram hai ya nahi Abdul Wahab Najdi ne kaha muta to haram hai to is mozo par usne munazra kia aur Abdul Wahab Najdi ko muta karne par amada kiya aur aise tarhan aik haseen tareen aurat the jo aus ki sath jasoosi karte the aus ki sath us ki shadi yani muta bhi karwaya, Phir aus ne Abdul Wahab Najdi ki zehan mein yeh baat dale ki tum bahut bare Scholar ho aur Allah ne kisi azeem kaam ke liye tum ko paida kiya hai, Phir aus ne Abdul Wahab Najdi ko ye jhansa diya ki tum aise ho jaise Ameer Ul Momineen Hazrat Umar Radi Allahu Anhu hain, Ayse tarhan aus ki gubari mein hawa bhar ne ke bad Bartania (UK) Europe ne use Najd [New Name Riyadh] ki sar zameen par lakar istemal kiya, Woh itna inteha pasand tha ki agar koi aurat sunni hote to bolta tum Wahabi ho jao jub wo Wahabi ho jate to aus ka sir mund deta kehta ki tum zamana jahalat se nikal ki aye ho aur aus ne apne jamat ke ilawa tamam duniya ki Musalmano ko kafir kaha, Is say aap aus ki inteha pasandi ka andaza lagay, Phr Bartania (UK) ki madad se in logo ne Khilafat e Usmania ke khilaf jung shuru kar di laakho musalman in ki hatho shaheed hue, Jub in logo ne ( Makkah ) ( Medina ) per hamla kia aur be qasoor musalmano ko shaheed kara to Khilafat e Usmania ne aalmi taur par elaan Kar diya hum is pak sar zameen par qatal o gharat pasand nahi karte, Is wajah se hum Khilafat e Usmania ko khatam kar ki apne watan Turkey wapas jaa rahe hai, Phr Arab aur musalmano ka zawal shuru hua Hejaz muqaddas Ka naam 1400 saal ki Tareekh me pehli baar badla gaya, Ibn saud ne Hejaz muqaddas ka Naam Apne naam par Saudia rakh diya, Haram Sharif ke jin darwazo ke naam Sahaba e Karaam aur Ahle Bait ke naam par the inka naam aal e Saud (Daaku) ke naam par rakha gaya, Yahud o Nasara ko Arab me aane ki ijazat mil gaye, Jannatul Baqi aur Jannatul Mualla me Sahaba Ridwanullah Ajmain aur Ahlebait Sahaba Islam ke Mazarat pe Bulldozer chalaya gaya, Jis Din Ibn Saud Arab ka Badshah bana aus din ek Jashn hua is jashn me America (USA) Europe Bartania (UK) aur dusre kafir mulko ke Prime Minister Ibn Saud ko mubarak baad dene pahuch gaye, Jis Arab ke naam se yahudo nasara kaanpte the wo Saudi [America] ke isharon pe nachne laga aur aaj bhi un ke saath naach raha hai, Yahud o Nasara ki is na pak saazish ka zikr karte hue,

Dr : Muhammad Iqbal ne apne kalam me likha hai


Wo faka kash jo maut se darta nahi zara rooh e Muhammad (S.A.W.) iskey dil se nikal do,
Fikr e Arab ko de Kar firangi takhyulat Islam ko Hejaz o Yaman se nikal do,


EmoticonEmoticon