Monday, June 18, 2018

Fifth Generation Warfare in Pakistan

pakistan army,pakistan in 5th generation war,generation of warr and pakistan history,5th generation warefare,generation warface

5th Generation War:


Pak fauj ke khilaaf is waqt kayi harbe istemaal kiye ja rahay hain, is hawalay se chand din qabal DG ISPR nay bhi apni press briefing ke darmiyan kayi inkishafat kiye hain. Unhon ne is hawalay se social media aur pashtoon tahaffuz movement ke manzoor pashteen ka khusoosi tor par zikar kya hai.

Pak fauj sirf Pakistan ke difaa ke liye he nahi balkay duniya bhar ke musalman pak fouj ko ahmiyat aur aqeedat ki nazar se dekhte hain. Pakistan ki fouj hum Pakistanio ke liye fakhr ka baais hai, duniya mein agar kisi ne gareeb aur mutwastar tabqay ke afraad par mushtamil shandaar idaara dekhna ho to woh Pakistani fouj ko dekh le.

Hezbollah ke Rehnuma Hassan Nasrallah, pakistani siasatdan allama raja nasir abbas ki class fellow hain. Hassan Nasrallah pichlle chaar saal se, apnay pakistani dost raja nasir ko naseehat kar rahay thay, magar is baar unhon ne wasiyat ki ke kabhi bhi apni fouj ko nah chhorna. Hamesha apni fouj ke sath rehna kyunkay hamein bohat si it-tila-aat hain ke America aur Israel musalman mulkon ki afwaj ko torna chahtay hain.
Unhon ne ise mansoobay ke tehat libya aur Iraq ki fouj ko tora. Yemen ki fouj tori. Israel ke muqablay mein lebnan ki fauj nahi bannay de. Darasal yeh musalman mulkon ki afwaj ko toar kar khittay ki az sar e no tarteeb chahtay hain. Ab un ki tarteeb mein aur tosee shaamil ho gayi hai aur ab un ka mission Pakistani fouj ko torna hai, usay kamzor karna hai kyun kay jugraphiyai tor par ahem honay ke ilawa Pakistan atmi quwat hai. Abadi bhi bharpoor hai, taaqatwar mulk hai.

Agar khuda na khasta yeh saazish kamyaab ho gayi to phir aur bhi muslim mulk toot jayenge. ise liye mein aap ko wasiyat karta hoon ke har haal mein apni fauj ka sath dena, aap ka mulk aur awam ise soorat mein bachchen ge jab aap ke paas taaqatwar fouj hogi.

Allama Raja Nasir abbas kehte hain ke mein aksar sochta tha ke mera dost kyun yeh manzar mujhe batata hai, ab jab halaat mere samnay aaye to mujhe yaqeen ho gaya ke woh sach keh raha tha kyun kay mere liye woh din heran kun tha jab teen martaba Wazeer e Azam rehne walay ne apni fouj ke khilaaf bolna shuru kya. Tab mujhe bairooni taqaton ke ishaaron par kaam karne walon ki samajh aayi, mein soch bhi nahi sakta tha ke aik aisa shakhs jo teen baar mulk ka Wazeer e Azam raha ho, Woh bhi aisa karsaktha hai ?

manzoor pashteen speech,manzoor pashtoon,ptm manzoor pashteen,pashtun tahafuz movement,manzoor pashtten,manzoor pashtun

Who Is Manzoor Pashteen:


Jab fata mein aman ho chuka tha to phir yeh Manzoor Pashteen kahan se aa gaya ? Kahan se aagaye Achakzai aur Achakzai Nazriye walay. Kyun Manzoor Pashteen ko lahore bulawa kar jalsay kerwatay hain. Kisi baat par ikhtilaaf ka yeh matlab to nahi hai ke aap apni fouj ke khilaaf baatein karen.

Manzoor Pashteen ne kyun Israeli fouj ke haq mein naaray baazi ki ? Hum logon ne haq ke liye dharnay diye hain magar kabhi apne watan ke khilaaf baat nahi ki. Hamein yaad rakhna chahiye ke hamari pehli aur mazboot deewar sirf aur sirf pak fouj hai. Hamaray maashray ke andar to ikhtilafat ke naam par bohat taqseem hai. Hamein androoni ikhtilafat khatam kar ke apni fouj ke sath kharray ho jana chahiye.


EmoticonEmoticon