Sunday, July 29, 2018

Blood Pressure Tablets Side Effects

blood pressure medication side effects impotence, blood pressure medicine banned in pakistan, valsartan medicine banned in pakistan,

Blood Pressure Medication Side Effects


Blood Pressure aur amraaz Qalb mein mubtala afraad yeh dawa hargiz istemaal nah karen. Kyun kay yeh cancer mein mubtala kar deti hai, hukumat Pakistan ne fori tor par in dawai ke istemaal par pabandi aied karte hue intibah jari kiya he.

Tafselaat ke mutabiq Drug Regulatory Authority ne (Valsartan) Nami dawa par pabandi aied karte hue, doctoron ko dawa tajweez karne, medical store ko farokht karne aur dawasaaz companiyon ko banane se rok diya hai.

Drug Regulatory Authority ne Blood Pressure aur amraaz Qalb mein mubtala afraad ko (Valsartan) Nami dawa istemal karne se sakhti se rokte hue kaha hai ke yeh dawa cancer ka baais ban rahi hai. Is mein aisay chemical mojood hain jo istemal kandigan ko cancer mein mubtala kar rahay hain.

Drug Regulatory Authority ne doctoron ko hidayat ki hai woh mareezon ko yeh dawa tajweez nah karen jabkay Medical Stores ko hadaayat ki hai ke woh yeh dawa farokht nah karen aur dukano se fori tor par is dawa ke stocks ko utha liya jaye jabkay Pakistan mein (Valsartan) banane wali 10 Dawa saaz companion ko bhi is ki tayari se sakhti se rok diya gaya hai.

Blood Pressure aur amraaz Qalb ke mareez jo (Valsartan) Nami dawa istemal kar rahay hain, woh pehli fursat mein apne mutaliqa doctors se mil ke mutabadil dawa tajweez karwaen. Aur phir pehli dawa doctor ki hidayat ke mutabiq choren, aikdam ghar baithy dawa na chor bethye ga cancer to baad mein hona hai heart attack aur high blood pressure foran ho jaye ga.

Jo ashaab taweel arsay se (Valsartan) istemal kar rahay hain, woh kisi achay medical specialist ya oncologist se mil ke cancer ke honay ya nah honay ki tasdeeq karwa len, taakay bar waqt rok tham ke ja sakay.


EmoticonEmoticon