Saudi Arab Mein Taash Tournament:
Social media par kuch tasaveer aur videos gardish kar rahi hain, jin mein sarzameen arab mein aik taash tournament ka match dekhaya ja raha hai, un tasaveer aur videos mein khaas baat yeh hai ke wahan k sabiq imam e kaaba al shaikh adil ban salim ban Saeed al-Kalbani bhi mojood hain.
Un tasaveer aur videos se qabal Saudi shehzaade Mohammad bin Salman bin Abdul alaziz ka Europi media ko diya gaya aik mutanazia interview bhi mauzo e behas bana raha jis ke baaray mein baaz Europi media ke zaraye ka kehna hai ke is interview mein unhon ney tasleem kya hai ke hum ney amrikyon ke kehnay par duniya bhar mein wahabiat ke nazriye ko farogh diya hai.
Maazi qareeb mein amrici saddar donald trmp ne saudi arab ka dora kya tha, jis mein Saudi badshah ki janib se amrici saddar ko be shumaar thaef diye gaye, aur is ke aiwz mukhtalif qisam ke hathyaaron aur deegar sahuliyaat ki amrici saddar ki janib se yaqeen dehani karai gayi.
Haliya taash tournament ki tasaveer ko kuch log juaa khanah ke unwan se agay phela rahay hain, aur kuch log is baat par shadeed ghusse mein hain ke inhin juaa khanah kyun kaha ja raha hai, haqeeqat batayi jaye aur taash ka tournament kaha jaye, is baat ki bhi wazahat paish ki ja rahi hai ke jis muaziz hasti ki mojoodgi tasaveer aur videos mein dikhayi gayi hai woh mustaqil imam kaaba nahi thay balkay woh wahan sirf taraveeh ki imamat kya karte thay, yeh bhi kaha ja raha hai ke Sheikh adil al-kalbani ki hesiyat aisi hai jaisay pakistan mein mufti Abdul Qavi ke.
Kuch log is waqeye ko aik mamooli noiyat ki sargarmi samajte hain, un ke mutabiq yeh wahan aam khela jaaney wala aik khail hai jisay baalot kaha jata hai. Aaj hi Saudi arab mein aik cinema ghar ka bhi iftitah huwa hai, sawal yeh peda hota hai ke phir is waqeye ka awam aur ulama ke tabqay ki janib se kaisa rad e amal dekhne ko milay ga, kya cinema ke juwaz ke dalail paish kiye jayen ge ya phir log jazbaat mein aakar fatwa dena shuru kar denge.
Farz karen ke aisa koi tournament ya club pakistan mein khoola jata jahan kisi barri masjid ke sabiq imam aur mufti bhi mojood hotay, kya tab bhi is ka aisa hi rad-e-amal zahir hota jaisa ke Saudi arab ke hawalay se dekhnay ko mila hai ? ya phir is se kuch mukhtalif aur allag qisam ka rad-e-amal hota.
Logon ke aik tabqay ki raye yeh bhi hai ke yeh waqia saudi hukoomat mein huwa hai aur saudi arab ke hakoomati ulama ne aisay tournament ke khilaaf koi Fatwa nahi diya, agar yeh islami talemaat ke khilaaf hota to saudi ulama aur mufti hazraat is waqeye ki tardeed aur muzammat zaroor karte, balkay usay khatam karne ke ehkamaat jari karte, halaan k aisa nahi kya gaya. Is liye yeh najaaiz nahi balkay islami talemaat ke ain mutabiq hai.
Ulama ke aik aur tabqay ki yeh raye bhi hai ke aisay kaam lahoo wlab mein shumaar hotay hain aur muqaddas sarzamen par is terhan ki kisi sargarmi ki ijazat nahi honi chahiye, is tabqay ke haamelin saudi arab ke naam war ulama karaam ki aik online Fatwa committee ke fatwa ko bhi bator hawala paish karte hain jis ke mutabiq agar taash khelna namaz mein susti aur rukawat peda nah kere, aur is par raqam bhi nah lagai gayi ho tab bhi yeh jaaiz nahi hai, is fatwa committee ki sarbarahi al shaikh muhammad saleh almanjad karte hain.
Yeh nuqta bhi uthaya ja raha hai ke agar Sheikh adil al-Kalbani aik mutanazia shakhsiyat ke haamil thay jaisa ke kuch tehreer mein bataya ja raha hai to aisay kirdaar ke haamil ko imam kaaba jaisa muqaddas fareeza sar-anjaam nahi dena chahiye tha.
Pakistan mein agar koi is terhan ke kamon mein mulawis ho to yahan jazbati log foran un par mushriq aur bidatti jaisay fatway laga dete hain, lekin saudi arab ke muamlay ko kuch aur tarhan se dekha ja raha hai, aur shayad aisa karna bhi chahiye kyun kay Saudi arab ki kisi bhi sargarmi ka barahay raast assar tamam musalman mumalik par hota hai.
Taash club ya tournament ke juwaz aur haq mein ki jane wali tamam guftagu aur mubahis ko har tanazur mein dekha jana chahiye, ain mumkin hai ke hamari taweelaat ko bunyaad bana kar mustaqbil mein jaahil log bator gawahi paish karen ke agar saudi arab mein yeh kaam durust hai to yahan kyun nahi hain ?
Tamam musalmanoon ke liye mutbarrik samjhi jane wali sarzamen mein agar taash club hai, is mein taash ke match bhi munaqqid hotay hain aur is mein Sheikh adil al-Kalbani jaisi muaziz hasti bhi shareek hoti hai, Allah nah kere mustaqbil mein yeh juye khanaay mein badal jaye aur phir is ki dalelein bhi paish ki jane lagen kyun kay shetan insaan ko batadreej aur marhala waar gumraah karta hai, aisa khadsha is wajah se bhi hai kyun kay hadees pak ke mafhuum ke mutabiq qayamat ke qareeb sarzamen arab mein dobarah buut parasti shuru ho jaye gi.
Note : All truth information aur is ki policy ka is blogger ke khayalat se mutfiq hona zaroori nahi.